Shayed bohat se afraad is sawal ka jawab jante huye bhi be khabar hun mah rajab mein do bohat bary waqeaat yani muajzaat ka zahur hwa tha .
Un muajzaat mein azeem muajza meraaj hai. Jis mein allah tabarak taala ne waqt ko rok diya aur is douran aapne huzoor nabi akram sale allah alaihi wasallam ko –apne paas zahiri wujood mubarak ke sath bulaya .
Ab yeh waqt kitney arbo saal ke liye ruka yeh allah aur nabi pak ka raaz hai jo koi nahi jaan sakta .
Muajza meraaj mein allah ne huzoor nabi akram sale allah alaihi wasallam ko apna deedar ataa farmaya .
Aur is douran allah aur nabi pak ki guftagu hui .
Ab guftagu to aamnay samnay baith kar hi hoti hai. Yani moujza mairaaj ke douran allah aur nabi pak ke darmiyan koi parda haail nah tha aur yahi woh maqam hai jahan hamein noor aur bashar ke farq ka pata chalta hai .
Waqia meraaj insani aqal se be had baala tar honay ke sath sath is baat ki taraf aik wazay daleel bhi hai ke nabi pak ki zaat mubarak allah ka noor hain .
Mah rajab mein dosra ahem waqay jo runuma hwa woh allah ke ghar mein janab maula ali a.s ka zahur hai .
Un do waqeaat ki binaa par mah rajab be had khaas islami maheena mana jata hai. Lehaza is maheena mein roza rakhna, nawafil ada karna, duroood salam ki kasrat karna aur ghair mashroot khairaat dena yeh sab aisi ibadaat hain jo aap ke muqaddar ko 4 chaand laga dain ge .
Hamari dua hai ke allah ki zaat tamam musalmanoon ko mohammad all mohammad ki sachi aur paki mohabbat ata farmaen ameeen.

rajab me kya hua tha ?

Whatsapp: +92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here