Agoraphobia jaghon ka khauf hai yani iss bimari mein mareez chand aysi jaghon par nahi jata jaha se asay mazi mein kisi kisam ka nuqsan mila ho . Yani agoraphobia k mariz ko society me chand jaghon par jane ka khauf lahq hota hai . Asal me mariz ko mazi me kisi jagaha se bohat zaida insult ya nuqsan ka samna hoa hota hai aur iss insult aur nuqsan ka khauf mariz k dil me beth jata hai jes ki waja se usay agoraphobia ka marz lahaq ho jata hai .
Misaal ke tor par agar koi maazi mein sair ki niyat se pahari ki chouti par gaya ho aur wahan is ka paiir (foot) phisal gaya ho aur woh martay martay bacha ho tu aisi soorat mein mareez ko agoraphobia la-haq ho jata hai aur woh zindagi mein kabhi bhi pahari ilaqay mein nahi jaye ga.
Isi terha agar koi kisi ki shadi mein gaya ho aur wahan is ko bohat ziada be izzati ka samna hwa ho to mareez ke dil mein aik khauf baith jata hai lehaza woh aindah zindagi kisi ki shadi mein jana pasand nahi karta . Agoraphobia aik nafsiyati bimari hai jes ka ilaj momkan hai likan fard ko ye sochna chahyia k mamoli baat ka khuf iss k zehan mein q paida ho gya . Asal mein jab insaan ki body mein negative energy ka level bohat zaida ho jata hai tu iss ki waja se mareez mein mahool k sath motabkat ikhtiar karne ki taqat nahi rehti jes ki waja se iss mein koe na koe bilawaja ka khauf paida ho jata hai lahaza agoraphobia bhe be had zarori hai .

Agoraphobia Ki Alamat

Jab koe agoraphobia ka shikar hota hai tu iss ki body aur soch mein chand alamat zahar hoti hain ju k darj zail hain. Yani agoraphobia k mareez ki heartbeat normal nahi rehti.
Asay fard ko saans lene mein problem hoti hai aur usay asa mehsoos hota hai jasy us ka dam ghat raha hai.
Phobia k patient aksar chest pain ka bhe shikaar rehte hain aur apnay seenay par unnye dabao bhe mehsoos hota hai. Agoraphobia k mareez ko bohat zaida paseena ata hai .
Khauf k doran mareez k jisam par kapkapi tari ho jati hai aur unnye jhunjunahat ka bhe ehsaas hota hai. Asay fard mentally tor par disturb rehty hain. Es liye ye stomach problem mein bhe mubtala rehty hain.
Asaan alfaaz mein ye kaha ja sakta hai k agoraphobia fard ko physically aur mentally bohut ziada upset kar deta hai. Lahaza iss ka time par ilaj zarori hai .

Agoraphobia Ki Wajuhat

Insaan har us cheez se dour bhagta hai , jis se fard ko nuqsaan ka andesha ho . Lahaza agr kisi khas jagha se fard ki jan aur izzat ko kisi kisam ka nuqsan mila ho tu wo dobara iss jagha se door rehne ki koshash kare gha . Asal me nuqsan walay muqamat se insaan k dil me khauf beith jata hai . Ye khauf jab shidaat ikhtiar kar le tu wo agoraphobia ki bimari ban jata hai .
Yani agoraphobia ki waja mazi me kisi khas muqam se hone walay nuqsan ki waja se dil mein beith jane wala khauf hai .
Yad rahay k negative energy aur nazre bad phobia mein shidaat شدت lanay ka sabab bntay hain . Ye baat aqal tasleem nahi karti likan yehi sach hai . Aap ne aksar dekha ho gha jab koe bacha darta hai tu iss ko dam karwaya jata hai jes ki waja se iss ka dar door ho jata hai , asal mein iss bache k dar ki waja nazare bad hoti hai lahaza jab dam karne se nazre bad k asrat khtam hoty hain tu bachy ka dar khud ba khud door ho jata hai . Iss liye phobias mein khauf ko nazre bad aur negative energy zaida kar deti hai jes ki waja se mareez ko mamoli khauf bohat zaida laghne laghta hai . Aysi sorat mein aap ko agoraphobia ka rohani ilaj ki zarorat hai .

Agoraphobia Kay Nuqsanaat

Agoraphobia waqat guzarne k sath sath had se zaida depression aur anxiety ki waja banata hai ۔ iss bimari ki waja se fard ko blood preshar , seena me dard aur stomach problem ho jati hai . Fard school , college aur ksi bhe place par beghir khauf k nahi jaa sakta. Fard apna confidence level kho deta hai. Kch na kch ho jane ka khauf mareez k zehan par har waqat swar rehta hai . Ye mareez kisi bhe kaam ka sahi se sar injam nahi de sakta us ki koi hobbies nahi hoti aur agar hun bhe tu wo phobia ki waja se chor deta hai.
Agoraphobia fard ko serious mental disorder mein mubtala kar sakta hai.lahaza iss ka time par ilaj krain .

Agoraphobia Ka Rohani Ilaj

Har kism k phobia ka most successful rohani ilaj dua nade ali sharif ka zafrani naqsh hai .
Lehza aap dua nade ali sharif ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghalay mein pehan lain insha allah 24 se 72 ghanton mein allah ki zaat aap ko shaifa ata farma dain ghay . Agr koe bhai ya behan ye taweez khud tehreer na kar sakain tu wo ye naqsh astana se sirf mushk , amber , zafran aur corrior ka kharch ada kar k hasil kar saktay hai .

Whatsapp

+92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here