Rishta Na Hone Ki Wajah
Rishta ki Pareshani ka samna ziada tar larkiyon ko karna parta hai. Jab kisi larki ki shadi achi family mein hoti hai to dosri larkiyan yeh chahne lagti hain ke unki shadi is se bhi ziada achi family mein ho. Lehaza bohat achi family mein rishta hone ki khawaish mein larkiyan apni shadi ki qudrati umar ko zaya kar leti hain. Ab yeh baat har family samajti hai ke ziada umar ki larkiyon mein bacha paida karne ki salahiyat kam ho jati hai. Lehaza baz familes 30 saal ki umar ki larkiyon se shadi karna darust nahi manti .Larkiyon ke Rishte na hone ki dusri wajah nazar E bad hai. Nazar E bad ke asarat ki wajah se larkiyon mein charcharapan, gham, ghusa aur bechaini paida ho jati hai jo hamesha rahti hai aur is wajah se log yeh samajte hain ke larki bad mizaaj hai aur bad mizaaj larkiyon se koi bhi shadi nahi karta. Nazar E bad ki wajah se koi na koi aesi wajah paida ho jati hai jis ki bina par larkiyon ka Rishta hone mein rukawat aa jati hai. Larkiyon ke Rishte na hone ki teesri ahem wajah bandish hai. Jab aap kisi rishte ka inkaar karte hain to zaroori nahi ke koi aap ke inkaar ko khushi se qubool kare ga, balkay baz log inkaar sun kar chehre par muskurahat hi rakhte hain lekin unke dil mein badlay ki aag jalne lagti hai. Jiski wajah se woh aesi larkiyon ke rishte ki bandish karwa dete hain. Yeh baat ba zahir ghair aqali lagti hai lekin yeh sach hai.
Read More