Har wo fard Jo affording Hai jis K pas zindagi Ki tamam facilities mujood Hain tu esay fard ko chori ka khatra hamesha lahaq rehta hai. Chor har sahib E istitaat fard ki hamesha talash mein rehte hain aur unhein jab moqa milta hai to woh pori tiyari ke sath chori karne ke liye ghar mein ghus jate hain aur bina koi awaz kiye sab kuch loot kar le jate hain. Zamane ki taraqqi ke sath choro ne chori karne ke andaz mein bhi kafi taraqqi ki hai. Yahan tak ke baz chor ghar ke afraad ki aqal ko aise bandh dete hain ke ghar ke afraad khud apne ghar ka maal aur paisa choro ko laa kar dete hain aur unhein khabar bhi nahi hoti. Algharz Chori Se Hifazat har musalman ke liye zaroori hai aur Chori Se Hifazat Ki Dua Ayat ul Kursi hai. Hadees ke mutabiq jo shakhs raat ko Ayat ul Kursi parhta hai to subah tak aik farishta har qisam ke shar se uski hifazat karta hai aur har qisam ke shar mein chor, daku, sanp, janwar, jinnat aur nagahani afaat O baliyat shamil hain. Isliye har musalman ko Ayat ul Kursi subah aur shaam mein wird karne ki aadat daal leni chahiye aur Ayat ul Kursi ka Arabic naqsh bhi apne ghar mein rakhna chahiye. Hadees ki roshni mein Ayat ul Kursi ke fazail jannay ke liye neechay diye gaye button par click karein. Mazeed maloomat ke liye aap Amna behan se rabita farmayein.
Chori Se Hifazat Ki Dua Urdu
ہر صاحب استطاعت فرد کو چوری کا خطرہ ہمیشہ لاحق رہتا ہے ۔ چور ہر صاحب استطاعت فرد کی ہمیشہ طاق میں رہتے ہیں اور انہیں جب موقع ملتا ہے تو وہ پوری تیاری کے ساتھ چوری کرنے کے لئے گھر میں گھس جاتے ہیں اور بغیر کوئی آہٹ کئے سب کچھ لوٹ کر لے جاتے ہیں ۔ زمانے کی ترقی کے ساتھ چوروں نے چوری کرنے کے انداز میں بھی کافی ترقی کی ہے ۔ یہاں تک کہ بعض چور گھر کے افراد کی عقل کو ایسے باندھ دیتے ہیں کہ گھر کے افراد خود اپنے گھر کا مال اور پیسہ چوروں کو لاکر دیتے ہیں اور انہیں خبر بھی نہیں ہوتی ۔الغرض چوری سے حفاظت ہر مسلمان کے لئے ضروری ہے اور چوری سے حفاظت کی دعا آیت الکرسی ہے ۔ حدیث کے مطابق جو شخص رات کو آیت الکرسی پڑھتا ہے تو صبح تک ایک فرشتہ ہر قسم کے شر سے اسکی حفاظت کرتا ہے اور ہر قسم کے شر میں چور ، ڈاکو ،سانپ ، بچھو، جانور، جنات اور ناگہانی آفات وبلیات شامل ہیں۔ لہذا ہر مسلمان کو آیت الکرسی صبح اور شام میں ورد کرنے کی عادت ڈال لینی چاہیئے اور آیت الکرسی کا عربی نقش بھی اپنے گھر میں رکھنا چاہئیے ۔ حدیث کی روشنی میں آیت الکرسی کے فضائل جاننے کے لئے نیچے دیئے گئے بٹن پر کلک کریں۔مزید معلومات کے لئے آپ آمنہ بہن سے رابطہ فرمائیں ۔