Jinnat aag ki lo se bani hui makhlooq hain jo insano se pehle is zameen par abaad thay aur aaj bhi hain. Jinnat dikhae nahi dete aur yeh tadad mein insano se bhut ziada hain. Jinnat Iblees ke servants thay lekin bohat se jinnat ne Islam bhi qubool kiya aur yeh baat Quran ki Surah Jinn mein mujood hai. Musalman jinnat se kisi insaan ko khatra lahaq nahi hota lekin jo jinnat musalman nahi, yeh kisi bhi insaan ya un ke bachon ko shadeed jani aur maali nuksaan de sakte hain. Jinnat har khali ghar, weran maqamat aur weran darakhton par basera karte hain. Isi liye jo afraad janay ya anjanay mein un ki hadd mein daakhil hote hain to yeh un ko shadeed nuksaan de sakte hain. Non Muslim jinnat kisi bhi ghar mein apna basera kar lete hain aur iske ilawa non Muslim jinnat kala jadu karne walon ke under bhi rehte hain.
Iske ilawa non Muslim jinnat magician ke kehne par kisi ko bhi nuksan de sakte hain. Jinnat sanp aur billi ki shakal mein bhi aa sakte hain aur ghaib reh kar bhi kisi ko jani aur maali nuksan de sakte hain. Nojawan larkiyon, larkon, hamla khawateen, shadi shuda khawateen, bachon aur lambay balon wali khawateen ko jinnat se hamesha khatra lahaq rehta hai. Isi liye Jinnat Se Hifazat har musalman ke liye zaroori hai. Jinnat se hifazat ki behtareen Dua Ayat ul Kursi hai. Isi liye har musalman ko chahiye ke woh rozana 10 martaba Ayat ul Kursi aur 10 martaba Durood e Ibrahimi wird karne ki aadat daal le aur Ayat ul Kursi ka Arabic naqsh bhi apne ghar mein rakhen aur apne paas bhi rakhe. InshaAllah aap nazar bad, kala jadu, jinnat aur har qisam ke nuksan se hamesha Allah ki hifazat mein rahen ge. Ayat ul Kursi Ka Wazifa aur is ke fazail aur barkat jannay ke liye neechay diye gaye button par click karein. Iske ilawa mazeed maloomat ke liye aap Amna Behan se rabita kar sakte hain.

Jinnat Se Hifazat Ki Dua Urdu

جنات آگ کی لو سے بنی ہوئی مخلوق ہے جو انسانوں سے پہلے اس زمین پر آباد تھے اور آج بھی ہیں ۔ جنات دیکھائی نہیں دیتے اور یہ تعداد میں انسانوں سے کئی گنا ذیادہ ہیں ۔ جنات ابلیس کے پیروکار تھے لیکن بہت سے جنات نے اسلام بھی قبول کیا اور یہ بات قرآن کی سورہ جن میں موجود ہے ۔ مسلمان جنات سے کسی انسان کو خطرہ لاحق نہیں ہوتا لیکن جو جنات مسلمان نہیں یہ کسی بھی انسان یا ان کے بچوں کو شدید جانی اور مالی نقصان دے سکتے ہیں۔ جنات ہر خالی گھر اور ویران مقامات اور ویران درختوں پر بسیرہ کرتے ہیں ۔ لہذا جو افراد جانے یا انجانے میں ان کی حد میں داخل ہوتے ہیں تو یہ ان کو شدید نقصان دے سکتے ہیں ۔ غیر مسلم جنات کسی بھی گھر میں اپنا بسیرہ کر لیتے ہیں اور اسکے علاوہ غیر مسلم جنات کالا جادو کرنے والوں کے ماتحت ہو کر بھی رہتے ہیں ۔ اسکے علاوہ غیر مسلم جنات جادوگروں کے کہنے پر کسی کو بھی نقصان دے سکتے ہیں ۔ جنات سانپ اور بلی کی شکل میں بھی آسکتے ہیں اور غائب رہ کر بھی کسی کو جانی اور مالی نقصان دے سکتے ہیں ۔
نوجوان لڑکیوں ، لڑکوں ، حاملہ خواتین ، شادی شدہ خواتین ، بچوں اور لمبے بالوں والی خواتین کو جنات سے ہمیشہ خطرہ لاحق رہتا ہے لہذا جنات سے حفاظت ہر مسلمان کے لئے ضروری ہے ۔ جنات سے حفاظت کی بہترین دعا آیت الکرسی ہے ۔لہذا ہر مسلمان کو چاہیے کہ وہ روازنہ 10 مرتبہ آیت الکرسی اور 10 مرتبہ درود ابراہیمی ورد کرنے کی عادٹ ڈال لے اور آیت الکرسی کا عربی نقش اپنے گھر میں رکھے اور اپنے پاس بھی رکھے ۔ انشاء اللہ آپ نظربد ، کالا جادو ، جنات اور ہر قسم کے نقصان سے ہمیشہ اللہ کی حفاظت میں رہیں گے ۔
آیت الکرسی کا وظیفہ اور اس کے فضائل برکات جاننے کے لئے نیچے موجود بٹن پر کلک کریں اسکے علاوہ مزید معلومات کے لئے آپ آمنہ بہن سے رابطہ کر سکتے ہیں ۔

Whatsapp: +92 328 4765719

Find Urdu Wazaif Here