Leucorrhoea home treatment ? Leucorrhoea khawateen ki bimari hai jes ki waja se khawateen ki bacha daani se gaarhi aur badboo daar ratobat kharij hoti rehti hai. Uski wajah se khawateen ko jalan, kharish, pait ke nichale hissa mein dard, kamar dard aur shadeed aasabi kamzoree lahaq ho jati hai .
Leucorrhoea ka marz larkiyon ki zahiri khoubsurti ko khatam kar k inhain waqt se pehlay boorha kar sakta hai.
Leucorrhoea mein kharij honay wali ratobat aam tor par be rang hoti hai. Lekin agar is ratobat ka rang peela, sabz, , gaarha safaid ya phutkiou ki shakal mein hai to yeh aik pareshan karne wali baat ho sakti hai .
Leucorrhoea ka marz bohat aam hai jis ka shikaar har doosri aurat hai. Yeh marz is qader phail gaya hai k likoria ab new born bachi ko bhi ho sakta hai. Yeh bemari es qader khatarnaak hai jis ka shuru shuru mein pata nahi chalta .
Yeh aahista aahista insaan ko kamzor karti hai. Ziyada tar khawateen es maslay ko aam samajh kar ilaaj nahi karwati. Jis ki wajah se unhein kamar dard ka masla bhi ho jata hai .
Woh khawateen jo likoria ko nazar andaz kar deti hain woh dunyawi kaam kaaj, hamal aur zindagi mein agay berhne ke hawalay se nakara ho sakti hain .
Yaad rahay ke leucorrhoea haddion ko kamzor karta hai aur aksar khawateen ko isi wajah se kamar ki haddi ke muhroon ki problam bhi ho jati hai jo jaan lewa bhi ho sakti hai .
Iss post mein leucorrhoea , leucorrhoea ka sahi ilaj , leucorrhoea se shifa ki dau aur leucorrhoea ki dua ka wird karne ka sahi tarika aap se share kya gya hai .
Leucorrhoea Ki Alamaat
Leucorrhoea Ki Alamaat Har Khatoon Mein Mukhtalif Hoti Hain. Lekin Es Ki Chand Alamaat Tamam Khawateen Mein Aik Jaisi Hain Jo Kay Darj Zail Hain .
Uterus Se White Ya Yellow Aur Badboo Dar Maday Ka Kharij Hona , Pindliyon Aur Reerh Ki Hadi Mein Dard Rehna Pait Kay Nichale Hissay Mein Bhaari Pan Ka Ehsas Hona Jaldi Jaldi Lekin Thori Miqdaar Mein Jalan Ke Sath Urine Ana.
Tabiyat Ka Had Se Ziada Sust Ho Jana
Vargina Mein Kharish Hona
Constipation Rehna
Sar Mein Aksar Dard Hona
Khoraak Ka Sahih Hazem Nah Hona
Aankhon Ke Gird Halqay Parh Jana
Ziada Gussa Aana
Kaam Karne Ko Jee Nah Chahna
Ye Leucorrhoea ki Chand Aham alamat Hain Aur Agr Ye Alamat Aap me Mojood Hain Tu Aap Iss k ilaj ki Tarf tawaju Zaroor Dain .
Leucorrhoea K Nuqsanaat
Har bemari kisi nah kisi andaaz se fard ko nuqsaan deti hai isi terha likoria khawateen ko bohat se nuqsanaat se dochar karta hai. Likoria khawateen mein aik deemak maani jati hai jo khawateen ko andar se khokhala kar k rakh deti hai.
Leukorrhea khawateen mein had se ziada jismani aur aasabi kamzoree lata hai.
Leukorrhea agar ziyada der tak rahay to yeh khawateen mein maida, gurda aur jigar ki bemariyan le aata hai.
Leucorrhoea se pareshan khawateen ki aksar nazar kamzor ho jati hai .
Leukorrhea married life ki tabahi hai .
Leukorrhea se pareshan khawateen ko hamal jald nahi hota .
Leukorrhea khawateen ki zahiri khoubsurti, zahanat aur khadd-o-khaal ko shadeed mutasir kar deta hai leukorrhea ka agar waqt par ilaaj nah ho to yeh khawateen mein bohat si paicheeda jismani aur nafsiati amraaz paida kar deta hai.
Lehaza leucorrhoea ka ilaaj waqt par zaroor karna chahiye .
Likoria ziyada tar mahawari anay se pehlay aur mahawari khatam honay k kuch din baad tak rehta hai .
Lekin kuch aurton ko likoria bohat ziyada hota hai jis se bohat se paicheeda masail janam letay hain .
Ziyada tar larkiyan sharam ki wajah se leucorrhoea ke baray mein apne barron ko batati nahi jis ki wajah se un ka marz kaafi barh jata hai.yaad rahay k likoria agar had se ziada ho jaye to yeh nojawan larkiyon ko waqt se pehlay boorha kar deta hai.
Lehaza agar kisi behan ko leucorrhoea ka marz la-haq hai to woh es k bar waqat ilaaj k liye doctor se rabita kare aur agar koi behan leucorrhoea ka rohani ilaaj karwana chahti hai tu uski tafseel neechay darj kar di gayi hai .
Leucorrhoea Ka Rohani ilaj
Leucorrhoea ka rohani ilaj se pehlay aap anda , chai , chawal , goshta , bazari khana aur har ksiam k gram aur tursh ashia ka istimal tark kar dain . Aap apni jismani safai ka khayal rakhain aur apne aap ko dettol pani se wash karne ki adat dalian .
Ye sab karne k baad aap bazar se aik pao sogi le kar iss par 300 martaba surah fatiha parh kar dam krain .ab aap ne iss sogi mein se 5 dane morning me aur 5 dane evening mein khane ki adat dal leni hai . Insha allah chand dino mein allah ki zaat aap ko leukorrhea ki bimari se shifa ata farma dain ghay .ye amal aap ne 15 din tak karna hai . Agr kisi behan ko medicine ya rohani ilaj karwane k bawajood shifa nahi mil rahi tu wo astana se leukorrhea ka taweez manghwa kar apne galay mein pehan le insha allah aap ko jald shifa mil jae ghe . Leucorrhoea kay taweez k liye aap amna behan ko call kar sakty hain .