Naferman Aulad ko jald farmabardar banane ke liye ya Azizu ya Muizzu ka wazifa afzal mana jata hai. Agar kisi Parents ki Aulad unki farmabardar nahin to is Aulad ko tamam zindagi ke liye farmabardar aur naik banane ke liye waldain ko chahiye ke woh Isha ki namaz ke baad awal aur aakhir 3-3 martaba Durood Pak parhain aur darmiyan mein ya Azizu ya Muizzu 300 martaba wird Karen. Yeh wazifa aap ne 11 din tak jari rakhna hai. Koshish karein ke aap ya Azizu ya Muizzu ko pak ink se likh kar apne bachon ke gale mein pehna dein aur agar yeh mumkin nah ho to aap yeh naqsh apne ghar mein rakhein. InshaAllah, jald hi Allah ki zaat aap ki Aulad ko aap ka farmabardar bana denge. Baaz auqaat bachon ki shadi hone ke baad bachay woh karte hain jo un ki biwi un se kehti hai aur aise bachay waldain ko ahmiyat nahin detay jiski wajah se parents ko bohat ziada pareshani lahaq hoti hai. Lehaza agar ya Azizu ya Muizzu ka Wazifa kiya jaye to bache jald biwi se ziada waldain ko ahmiyat dena shuru kar detay hain.
Nafarman Aulad Ka Wazifa Urdu
نافرمان اولاد کو جلد فرمابردار بنانے کے لئے یا عزیز یا معز کا وظیفہ افضل مانا جاتا ہے ۔ اگر کسی والدین کی اولاد ان کی فرمابردار نہیں تو اس اولاد کو تمام زندگی کے لئے فرمابردار اور نیک بنانے کے لئے والدین کو چاہیے کہ وہ عشاء کی نماز کے بعد اول و آخر 3-3 مرتبہ درود پاک ورد کریں اور درمیان میں یا عزیز یا معز 300 مرتبہ ورد کریں ۔ یہ وظیفہ آپ نے گیارہ دن تک جاری رکھنا ہے ۔ کوشش کریں کے آپ یا عزیز یا معز کو پاک سیاہی سے تحریر کرکے اپنے بچوں کے گلے میں پہنائیں اور اگر یہ ممکن نہ ہو تو آپ یہ نقش اپنے گھر میں رکھیں ۔ انشاء اللہ جلد ہی اللہ کی ذات آپ کی اولاد کو آپ کا فرمابردار بنا دیں گے ۔بعض اوقات بچوں کی شادی ہونے کے بعد بچے وہ کرتے ہیں جو ان کی بیوی ان سے کہتی ہے اور ایسے بچے والدین کو اہمیت نہیں دیتے جسکی وجہ سے والدین کو بہت ذیادہ پریشانی لاحق ہو جاتی ہے ۔لہذا اگر یا عزیز یا معز کا وظیفہ کیا جائے تو بھی بچے جلد بیوی سے ذیادہ والدین کو اہمیت دینا شروع کردیتے ہیں ۔