Namaz sab se afzal ibadat Hai aur Musalman ke liye sab se bara hisaar hai aur iski wajah se insaan apni asal ke sath jura bhi rehta hai. Insaan ki asal Allah ko sajda karna hai aur Namaz behtareen sajda hai. Lekin Shaitan nahi chahta ke Musalman Allah ko sajda karein. Yaad rahe ke sajda ki fazilat Shaitan hum aam insano se behtar janta hai, is liye Shaitan nahi chahta ke Musalman ko sajda ki fazilat hasil ho, is liye woh insaan ko aise waswase deta rehta hai jis ki wajah se insaan Namaz nahi ada kar pata aur na hi Musalman ka Namaz Mein Dil lagta hai. Lekin Shaitan ke waswase ko rad kar ke namaz ada karna bhi aik azeem ibadat hai aur jo log Shaitan ke waswase ko nazar andaz kar ke har haal mein Namaz ada karte hain to yehi log Allah ki mohabbat ke mustahiq hote hain. Lekin agar koi Musalman waswason se tang a chuka ho aur uski is wajah se Namaz bhi qaza ho jati ho to woh rozana jab bhi waqt mile Ayat ul Kursi parh le. Shaitan Ayat ul Kursi se khof khata hai, is liye Ayat ul Kursi ki wajah se jab Shaitan ko musalsal Azaab milega to woh aap ko chor kar chala jayega. Is liye aap har farz Namaz ke baad aik martaba Ayat ul Kursi wird karne ki adat zaroor bana lein. Kyun K Shaitan phir aap ko waswasa dene aaye ga lekin Ayat ul Kursi ke dar se woh aap ke nazdeek nahi a paye ga.
Namaz Mein Dil Lagane Ka Wazifa Urdu
نماز سب سے افضل عبادت ہے اور مسلمان کے لئے سب سے بڑا حصار ہے اور اسکی وجہ سے انسان اپنی اصل کے ساتھ جڑا بھی رہتا ہے ۔ انسان کی اصل اللہ کو سجدہ کرنا ہے اور نماز بہترین سجدہ ہے ۔ لیکن شیطان نہیں چاہتا کہ مسلمان اللہ کو سجدہ کریں ۔ یاد رہے کہ سجدہ کی فضیلت شیطان ہم عام انسانوں سے بہتر جانتا ہے لہذا شیطان نہیں چاہتا کہ مسلمان کو سجدہ کی فضیلت حاصل ہو اس لئے وہ انسان کو ایسے وسوسے دیتا رہتا ہے جسکی وجہ سے انسان نماز نہیں ادا کر پاتا اور نہ ہی مسلمان کا نماز میں دل لگتا ہے ۔ لیکن شیطان کے وسوسے کو رد کرکے نماز ادا کرنا بھی ایک عظیم عبادت ہے اور جو لوگ شیطان کے وسوسے کو نظر انداز کرکے ہر حال میں نماز ادا کرتے ہیں تو یہی لوگ اللہ کی محبت کے مستحق ہوتے ہیں ۔لیکن اگر کوئی مسلمان وسوسوں سے تنگ آچکا ہو اور اسکی اس وجہ سے نماز بھی قضا ہو جاتی ہو تو وہ روزانہ جب بھی وقت ملے آیت الکرسی پڑھ لیا کرے ۔ شیطان آیت الکرسی سے خوف کھاتا ہے لہذا آیت الکرسی کی وجہ سے جب شیطان کو مسلسل اذیت ملے گی تو وہ آپ کو چھوڑ کر چلا جائے گا ۔ لہذا آپ ہر فرض نماز کے بعد ایک مرتبہ آیت الکرسی ورد کرنے کی عادت ضرور بنا لیں۔ کیونکہ شیطان پھر آپ کو وسوسہ دینے آئے گا لیکن آیت الکرسی کے ڈر سے وہ آپ کے نزدیک نہیں آ پائے گا۔