Imtihanat ke doraan aksar talib ilm pareshan jaate hain jiski wajah se unko yaad kiya gaya sabak bhi bhool jaata hai aur is hi wajah se woh nakami ka shikar bhi ho jaate hain. Baaz oqat saara saal mehnat karne wale talib ilm bhi imtihanat ke nazdeek aakar shadeed pareshani ka shikar ho jaate hain.
Lekin agar koi talib ilm rozana 10 martaba Durood-e-Ibrahimi aur 10 martaba ” Allahuma Iyyaka na’budu wa iyyaka nasta’een” parhne ki adat bana leta hai to us ki imtihanat ke doraan ghaybi madad zaroor hoti hai. Yaani jo usne jo yaad kiya hota hai wahi us ke liye kamiyabi ka sabab banta hai aur us ke liye aasani paida ho jaati hai.
Paper mein Asani Ki Dua Urdu
امتحانات کے دوران اکثر طالب علم پریشان جاتے ہیں جس کی وجہ سے ان کو یاد کیا گیا سبق بھی بھول جاتا ہے اور اسی وجہ سے وہ ناکامی کا شکار بھی ہو جاتے ہیں ۔ بعض اوقات سارہ سال محنت کرنے والے طالب علم بھی امتحانات کے نزدیک آکر شدید پریشانی کا شکار ہو جاتے ہیں ۔ لیکن اگر کوئی طالب علم روزانہ 10 مرتبہ درود ابراہیمی اور 10 مرتبہ الّھُم ایاک نعبدو وایاک نستعین پڑھنے کی عادت بنا لیتا ہے تو اس کی امتحانات کے دوران غیبی مدد ضرور ہوتی ہے یعنی اس نے جو یاد کیا ہوتا ہے وہی اس کے لئے کامیابی کا سبب بنتا ہے اور اس کے لئے آسانی پیدا ہو جاتی ہے ۔