Agar kisi student ko Paper Yaad nah hota ho aur imtihan bhi nazdeek hun , to woh Paper Yaad Karne Se pehle aik martaba Alhamd Shareef aur 11 martaba Ya Fatthu parh le. Insha Allah Ism E Azam Ya Fattahu ki barkat se is student ko paper jald yaad ho jaye ga aur use paper mein kamyabi bhi hasil hogi. Lekin yaad rahe, mehnat afzal tareen dua hai, aur jo student sahih mehnat karta hai, use hi Allah ki madad hasil hoti hai. Aur jab kisi ko Allah ki madad hasil ho jati hai, to kamyabi uska muqaddar zaroor ban jati hai. Lehaza Allah ki madad hasil karne ke liye sahih mehnat ke sath dua bhi zaroori hai aur duaon mein Alhamd Shareef azeem tareen dua hai aur Allah ko Ya Fattahu keh kar pukarna bhi aik dua hai. Lehaza aap ko jo tariqa bataya gaya hai, usay saal ke start mein hi apnayen. Insha Allah jald hi aap ka hafiza itna tez ho jaye ga ke aap ko Paper Yaad bhi ho ga aur aap ko exams mein kamyabi bhi mile gi.
Paper Yaad Karne Ki Dua Urdu
اگر کسی طالب علم کو پیپر یاد نہ ہوتا ہو اور امتحان بھی نزدیک ہوں تو وہ پیپر یاد کرنے سے پہلے ایک مرتبہ الحمد شریف اور 11 مرتبہ یا فتاح پڑھ لیا کرے۔ انشاء اللہ اسم اعظم یا فتاح کی برکت سے اس طالب علم کو پیپر جلد یاد ہو جائے گا اور اسے پیپر میں کامیابی بھی حاصل ہوگی ۔ لیکن یاد رہے محنت افضل ترین دعا ہے اورجو طالب علم صحیح محنت کرتا ہے اسے ہی اللہ کی مدد حاصل ہوتی ہے ۔اور جب کسی کو اللہ کی مدد حاصل ہوجاتی ہے تو کامیابی اس کا مقدر ضرور بن جاتی ہے ۔ لہذا اللہ کی مدد حاصل کرنے کے لئے صحیح محنت کےساتھ دعا بھی ضروری ہے اور دعاؤں میں الحمد شریف عظیم ترین دعا ہے اوراللہ کو یا فتاح کہہ کر پکارنا بھی ایک دعا ہے ۔لہذا آپ کو جو طریقہ بتایا گیا ہے اسے سال کے شروع میں ہی اپنائیں ۔ انشاء اللہ جلد ہی آپ کا حافظہ اتنا تیز ہو جائے گا کہ آپ کو پیر یاد بھی ہوگا اور آپ کو امتحانات میں کامیابی بھی ملے گی ۔