Postpartum depression ko aam tor delivery k baad honay wala depression kaha jata hai. Yani es depression ka samna female ko bacha paida karne k baad karna parhta hai aur es ki asal waja female k jism mein hone wali tabeelian hoti hain. Jab aik aurat apnay aap ko in changes k sath adjust nahi kar pati tu depression ka shikaar ho jati hai. Ye depression body pain , thakan aur mentally tor par relax nah hone ki waja se bhe hota hai. Ye depression female to delivery k baad se 3 ya 7 din tak rehta hai. Lekin agar aik month se ziada rahe tu es ka ilaj karna mushkil ho jata hai .iss post mein postpartum depression aur iss k rohani ilaj ki mokammal detail aap ko hasil ho ghe .
Postpartum Depression Ki Alamat
Postpartum depression ki bohut se alamat hain jo k darj zail hai .
Postpartum depression ki waja se female har waqt udaas rehti hai.
Ronay ka dil karta hai aur neend sahi se nahi ati.
Usay har cheez bay kaaar lagti hai.
Female bohat zaida uktahat ka shikaar rehti hai aur mood bhe kharaab rehta hai.
Female bachy k sath lagao mehsoos nahi karti aur karti hai tu bohat zaida kar leti hai .
Female k zehan mein death se mutaliq sochain ati rehti hain.
Usay asa mehsoos hota hai jasy zindagi guzarnay ki koi waja nahi hai.
Jo auratyn periods problem ka shikaar hoti hain, un ko bhe es depression ka aksar samna karna parhta hai. Ye chand alamat hain jen ki bina par ham keh sakty hain k koe female postpartum depression ka shikar hai ya nahi . Postpartum depression ka medically ilaj mojood hai likan iss k sath agr iss ka rohani ilaj bhe kya jae tu ye sab se best hai .
Postpartum Depression Ki Wajuhat
Delivery k baad hone waly depression ki bohut se wajuhat hain jo har female ko muhktalif tareekay se effect karti hai.
Wo females jo pregnancy se phly ya doran e pregnancy stress ka shikaar rahi hun. Unnye delivery k baad depression ka samna karna parhta hai.
Jo larkian choti umar mein bacha paida karti hain wo bhe depression ka shikaar ho jati hain.
Baaz auqaat jab bacha bohut ziada kamzoor paida hota hai tu ye cheez bhe female ko depress karne ka sabab banti hai.
Postpartum depression ki waja nazre bad aur negative energy bhe hoti hai . Paregrancy k baad agr kisi female ko postpartum depression ho jae aur iss ki waja nazre bad aur negative energy ho tu ye khatarnak hai lahaza iss ka rohani ilaj zaroor karna chahyia .
Yad rahay k hamla female ko bohat jaldi nazar lagh jati hai aur iss bad nazar ka asar iss k bachy par bhe ho sakta hai . Lahaza hamla female bacha paida karne k baad depression ka shikar ho ya na ho asay nazare bad ka taweez apne ghalay mein zaroor rakh lena chahyia .
Iss k ilawa ye bhe mushihad kyia gyia hai k pregnancy k doran aur pregnancy k baad mareeza kisi dosray fard k bad asrat ka bhe jaldi shikar ho jati hai .
Aur ye sari batain mareez ki life ko buri tarah effect karti hain. Es liye ap depression ka doctori aur rohani ilaj zaroor karwayen.
Postpartum Depression K Nuqsanaat
Postpartum depression agar bohut arsay tak rahe tu ye asani se thek nahi hota.
Aur thoray thoray time k baad female es ka samna karti rehti hai.
Female ka family , bachy aur shohar mein interest khatam ho jata hai usay apni personality achi nahi lagti.
Postpartum depression ki waja se female apne baby ko puri tawaja nahi de pati jes ki waja se bachy ki sehat motasar ho jati hai .
Aksar aysa hota hai k female baby k hawalay se ya tu bohat zaida pareshan ho jati hai ya phir apne bachay ko bilkul nazar andaz kar deti hai .
Postpartum depression mareez me anxiety , sar dard , stomach problem , blood pressure aur bohat se amraz ki waja banta hai .
Postpartum Depression Ka Rohani Ilaj
Postpartum depression ka successful rohani ilaj naqsh nade ali hai . Lahaza aap dua nade ali sharif ko mushk , amber , zafran aur gulab se tehreer kar k apne ghalay mein pehan lain insha allah 24 se 72 ghanton mein allah ki zaat aap ko shaifa ata farma dain ghay . Agr koe behan ye taweez khud tehreer na kar sakay tu wo ye naqsh astana se sirf mushk , amber , zafran aur corrior ka kharch ada kar k hasil kar sakti hai .