Ayat ul Kursi Quran ki azeem Ayat Mubarak hai jo ke Surah Baqarah ki Ayat 255 hai. Rohani aur zahiri hifazat ke hawale se Ayat ul Kursi bohat si Hadees Mubarak bhi mujood hain aur aik Hadees ke mutabiq jo shakhs raat mein Ayat ul Kursi parhta hai to Allah ki zaat us ke liye aik farishta paida farmate hain jo raat bhar uski hifazat karta hai. Asal mein qadeem zamanay mein chori, qatal aur jinnat ka khatra har insan ko lahaq tha aur Ayat ul Kursi hifazat ki afzal tareen Dua hai. Isi liye Sahaba IKraam ne Ayat ul Kursi ko apni zindagi ka mamool bana liya jiski barkat se woh raat bhar har qisam ke shar se mahfooz aur bekhof rehte. Algharz har insan ko durood shareef ke hamrah Ayat ul Kursi ko subah bhi parhna chahiye aur raat ko bhi parhna chahiye taa ke woh raat din Allah ki hifazat mein rahe.
Raat Bhar Hifazat Ki Dua Urdu
آیت الکرسی قرآن کی عظیم آیت مبارکہ ہے جو کہ سورہ بقرہ کی آیت 255 ہے ۔ روحانی اور ظاہری حفاظت کے حوالے سے آیت الکرسی کے حوالے سے بہت سی حدیث مبارکہ بھی موجود ہیں اور ایک حدیث کے مطابق جو شخص رات میں آیت الکرسی پڑھتا ہے تو اللہ کی ذات اس کے لئے ایک فرشتہ پیدا فرما دیتے ہیں جو رات بھر اسکی حفاظت کرتا ہے ۔ اصل میں قدیم زمانہ میں چوری ، قتل اور جنات کا خطرہ ہر انسان کو لاحق تھا اور آیت الکرسی حفاظت کی چونکہ افضل ترین دعا ہے ۔ لہذا صحابہ اکرام نے آیت الکرسی کو اپنی زندگی کا معمول بنا لیا جس کی برکت سے وہ رات بھر ہر قسم کے شر سے محفوظ اور بے خوف رہتے۔ الغرض ہر انسان کو درود شریف کے ہمراہ آیت الکرسی کو صبح بھی پڑھنا چاہیے اور رات کو بھی پڑھنا چاہیے تاکہ وہ رات دن اللہ کی حفاظت میں رہیں ۔ آیت الکرسی کے مزید فضائل جاننے کے لئے نیچے موجود بٹن پر کلک کریں ۔