Har student yeh chahta hai ke us ka Result Acha Aaye aur is ke liye baz students din raat duaen bhi karte hain. Jab k mahaz dua karne se result acha nahi aata. Is ki wajah yeh hai ke Allah ki zaat mehnat karne walay ko uski mehnat ka sila dete hain. Is liye agar mahaz dua ke zariye Allah ki zaat logon ko kamyabi dein to mehnat karne walon ke sath na insafi hogi aur aisa Allah ki zaat ko pasand nahi. Is liye zaroori hai ke Result Acha lanay ke liye aap mehnat karen kyun ke mehnat behtareen dua hai aur is mehnat ke sath aap dua bhi karen. Lekin din raat Dua karna aur mehnat na karna yeh baat ghair aqli hai. Is liye din raat mehnat karna aur namaz ke baad kamyabi ki dua karna danish mandi hai. Is liye agar koi student yeh chahta hai ke us ka Result Acha Aaye tu woh Fajr ki namaz ke baad 100 martaba ‘Ya Allah Ya Haseeb parh kar Allah ki bargah mein dua kar le. InshaAllah Allah ki zaat aap ko Kamyabi ata farmayen ge.
Result Acha Aane Ki Dua Urdu
ہر طالب علم یہ چاہتا ہے کہ اس کا رزلٹ اچھا آئے اور اس کے لئے بعض طالب علم دن رات دعائیں بھی کرتے ہیں جبکہ محض دعا کرنے سے رزلٹ اچھا نہیں آتا ۔ اسکی وجہ یہ ہے کہ اللہ کی ذات محنت کرنے والے کو اسکی محنت کا صلہ دیتے ہیں ۔ لہذا اگر محض دعا کے ذریعے اللہ کی ذات لوگوں کو کامیابی دیں تو محنت کرنے والوں کے ساتھ نا انصافی ہوگی اور ایسا اللہ کی ذات کو پسند نہیں ۔ اس لئے ضروری ہے کہ رزلٹ اچھا لانے کے لئے آپ محنت کریں کیونکہ محنت بہترین دعا ہے اور اس محنت کے ساتھ آپ دعا بھی کریں ۔ لیکن دن رات دعا کرنا اور محنت نہ کرنا یہ بات غیر عقلی ہے ۔ لہذا دن رات محنت کرنا اور نماز کے بعد کامیابی کی دعا کرنا دانش مندی ہے ۔ لہذا اگر کوئی طالب علم یہ چاہتا ہے کہ اس کا رزلٹ اچھا آئے تو وہ فجر کی نماز کے بعد 100 مرتبہ یااللہ یا حسیب پڑھ کر اللہ کی بارگاہ میں دعا کر لیا کرے ۔ انشاء اللہ اللہ کی ذات آپ کو کامیابی عطا فرمائیں گے۔