Summun Bukmun Umyun
Aaj Ki es post mein hum aap ko Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ka Wazifa aur es Wazifa se hasil hone Waly fawaid K mutaliq aap ko batayen ghay. Summun Bukmun Umyun La Yaqilun Surah Baqarah Ki Ayat number 171 ka hissa Hai. Ye Ayat Mubarakah zamana qadeem se bhut se rohani aur Duniaywi masail K liye wird Ki jati Hai. Qadeem bazurgon K mutabiq in lafaz mein nijat dene ki taqat Hai. Aab agar ghor kiya Jaye K insaan ko duniyawi hawaly se kin cheezo se nijat Ki zaroort Hai tu in mein bemari , ranj o Gham , dushman , Kala Jadu , afaat o baliyat, Nazar E bad aur bad Asraat Hain. Lehaza biyan ki ghe pareshaniyan Har insaan K gird tamam zindagi gardish karti Hain. Aur agar ye Kisi insan par Hawi ho Jayen tu ye insan Ki zindagi ko azaab Bana kar us K sukoon ko khatam kar deti hain. Lehaza Har kisam ki Parshani , bemari , bad asrat aur dushman se humesha Mehfooz rehna he kamyab zindagi Ki Alamat Hai. Yaad rahe K Parshani , bemari , bad Asraat aur dushman se agar aap Mehfooz rahen ghay tu he aap ko zindagi K Har maidan mein kamyabi hasil ho gi. Lehazah zindagi Ki Har Parshani se nijat K liye bazurgon nay Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ka khas Amal biyan Farmaya Hai . Jis se qadeem zamna mein log faida uhtatay rahe Hain aur Aaj bhe bay shumaar log Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ka Wazifa karty Hain. Es post mein hum aap ko Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ka aik ESA khas Wazifa batayen ghay. Jis Ki Barkat se aap Ki Jaan , Maal , Izzat , Aulad , Ghar aur karobar humesha Allah Ki Hifazat Mein rahen ghay. Aur agar koi aap ko Jadu K zariye nuqsan dene ki khohish Kare ga tu wo us nuqsaan ka khud shikaar ho Jaye ga. Es Wazifa Ki detail neechay darj Hai.

Summun Bukmun Umyun Ayat

Summun Bukmun Umyun arabi

agr aap iss article ko ko urdu me read karna chahtay hain tu Click Here

Summun Bukmun Umyun Wazifa

Agar aap zindagi Ki mujooda aur Har anae wali Parshani se humesha K liye nijat chahty Hain aur ye bhe chahty Hain K aap ko Rizq , karobar , Ghar , Izzat , Aulad , dushman ya Shohar K hawaly se Kabhi Kisi Parshani ka samna na ho tu aap Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ka aik din ka Wazifa zaroor kar lein. In Shaaa Allah aap ko es Wazifa Ki tamam Barkat sari zindagi hasil hoti rahen gi. Es Wazifa K liye aap Chand Ki pehli jemeraat ko Isha Ki namaz Ada Karne K baad awal o aakhir 10_10 martaba Durood E Ibrahimi wird Karen aur darmiyan mein aap 2 nafil namaz hadiya Muhammad Ale Muhammad es tarah Ada Karen K in dono nawafil mein aap Alhamad Sharif K baad 14_14 martaba Surah Ikhlas ki tilawat Karen. Nawafil Ada Karne K baad aap aik martaba Surah Baqarah tilawat Karen. Aur jab aap Surah Baqarah Ki Ayat 171 par pounchen tu aap Ayat Mubarak Summun Bukmun Umyun La Yaqilun ko 1000 bar tilawat Karen. Aur es K baad aap Surah Baqarah Ki baqi Ayat Ki tilawat Karen. Ye Wazifa mukammal Karne K baad aap 3 Masakeen ko khana khalein aur es K baad aap Rozana 10 martaba Durood E Ibrahimi aur 10 martaba Summun Bukmun Umyun La Yaqilun wird Karne Ki adat daal lein aur es mein Bila majboori nagah na Karen. In Shaaa Allah jald he aap K liye es Wazifa ka rohani Faiz Jari ho Jaye ga aur aap jis kaam mein bhe hath dalen ghay es kaam mein mujood rukawaten khud ba khud dour hona shuru ho jayen gi aur es K ilawa bhe aap ko es Wazifa Ki bay shumaar Barkat hasil hun gi. Es Wazifa Ki Barkat ko tamam zindagi Jari rakhne K liye aap es Ayat Mubarakah ko paak siyahi se tehreer kar K apne Ghar mein bhe rakhen aur apne paas bhe rakhen. In Sha Allah es Wazifa Ki hairaan kar dene wali Barkat aap ko tamam zindagi hasil hoti rahen gi.

   

Summun Bukmun Umyun Taweez

Agar koi bhai ya behan Summun Bukmun Umyun ko paak siyahi se tahreer karke apne ghar mein rakhta hai to woh tamam zindagi dushman, jadoo, nazar bad, aur har tarah ki musibat se mahfooz rehta hai. Is liye koshish karein ke aap ka naqsh apne paas bhi rakhein aur apne ghar mein bhi zaroor rakhein. 

جو لوگ حسد اور نحوست سے خود کو بچا لیتے ہیں ان کو وظیفہ کئے بغیر ہی زندگی میں سب کچھ حاصل ہو جاتا ہے جبکہ حسد اور نحوست کا شکار افراد کو وظیفہ میں بھی کامیابی نہیں ملتی ، لہذا اگر آپ چاہتے کہ آپ کا وقت برباد نہ ہو تو آپ وظیفہ شروع کرنے سے پہلے چند باتیں اپنے ذہن میں رکھیں ، ممکن ہے کہ آپ کو وظیفہ کئے بغیر آپ کے مقصد میں کامیابی حاصل ہو جائے ۔ اس لئے نیچے موجود  بٹن پر کلک کریں ۔