Surah Taghabun medani surah mubarakah hai jo ke paara 30 mein hai. Is surah mubarakah ki 18 ayaat hain aur yeh medani surah hai. Is surah mubarakah mein imaan, toba aur risalat ki ahmiyat batayi gayi hai. Is ke alawa yeh surah mubarakah Allah par tawakkul ka dars bhi deti hai. Site Nada Ali chonkay Urdu wazaif par mushtamil site hai is liye is post mein hum Surah Taghabun ka ek aisa wazifa ap ko batayenge jis ki wajah se ap zindagi ki rukawat ko Allah ki madad se door kar paayenge.
Har insan ki zindagi mein masaail ka aana jaana laga rehta hai. Kyunkay haalaat aur waqiaat ke badalte huye insaan ko zindagi ke mukhtalif hisson mein kabhi aasaani aur kabhi pareshani se guzarna parta hai. Lekin agar pareshani bahut arsay tak insaan ki jaan na chhore to is ka matlab yeh hai ke insaan ke saath koi na koi roohani masla laazmi hai jis ki wajah se insaan ko har kaam mein rukawat ka saamna hota hai. Jaise ke aam masaail mein rizq ki tangi, acha rishta na milna, shaadi mein rukawat waghera shaamil hain. Lekin agar yehi masaail koshish ke bawajood khatam nah hon to mumkin hai ke fard bad asraat ka shikaar ho. Is liye agar kisi bhai ya behan ki zindagi mein rukawatein aa rahi hain aur yeh rukawatein mehnat aur koshish ke bawajood door nah ho to is pareshani ka hal Surah Taghabun mein mojood hai. Agar Surah Taghabun ka tarjuma parha jaye to hamein pata chalega ke Surah Taghabun mein risalat par imaan, toba aur tawakkul par zor diya gaya hai. Matlab yeh ke agar koi fard Aap Nabbi Pak par darood nah parhta aur nah hi Allah se apne gunahon ki maghfirat mangta to is ki wajah se duniya mein phailay hue shaitani asraat is fard ke wujood par asar andaz hote hain. Jiski wajah se woh gunah bhi karta hai aur is ki zindagi ki mushkilat sat nijaat bhi nah milti. Is liye agar toba kar li jaye aur Aap Nabbi Pak par kasrat se darood bhi parha jaye aur is ke baad Allah par tawakkul karte hue apni koshish ko jaari rakha jaye to kuch hi deir mein Allah ki ghaibi madad aap ko hasil ho jaye gi jiski wajah se aap ki zindagi islah aur kamiyabi ki taraf gamzan hone lagayegi aur yehi Surah Taghabun ka asli wazifa hai.
Surah Taghabun Benefits Urdu
سورہ تغابن مدنی سورہ مبارکہ ہے جو کہ پارہ 30 میں ہے اس سورہ مبارکہ کی 18 آیات ہے اور یہ مدنی سورہ ہے ۔اس سورہ مبارکہ میں ایمان ، توبہ اور رسالت کی اہمیت بتائی گئی ہے اس کے علاوہ یہ سورہ مبارکہ اللہ پر توکل کا درس بھی دیتی ہے ۔ سائٹ نادعلی چونکہ اردو وظائف پر مشتمل سائت ہے لہذا اس پوسٹ میں ہم سورہ تغابن کا ایک ایساء وظیفہ آپ کو بتائیں گے جسکی وجہ سے آپ زندگی کی روکاوٹ کو اللہ کی مدد سے دور کر پائیں گے ۔
ہر انسان کی زندگی میں مسائل کا آنا جانا لگا رہتا ہے۔ کیونکہ حالات و واقعات کے بدلتے ہی انسان کو زندگی کے مختلف حصوں میں کبھی آسانی اور کبھی پریشانی سے گزرنا پڑتا ہے۔ لیکن اگر پریشانی بہت عرصے تک انسان کی جان نہ چھوڑے تو اس کا مطلب یہ ہے کہ انسان کے ساتھ کوئی نہ کوئی روحانی مسلہ لازمی ہے جس کی وجہ سے انسان کو ہر کام میں رکاوٹ کا سامنا ہوتا ہے۔ جیسے کہ عام مسائل میں رزق کی تنگی ، اچھا رشتہ نہ ملنا ، شادی میں رکاوٹ وغیرہ شامل ہیں۔ لیکن اگر یہی مسائل کوشش کے باوجود ختم نہ ہوں تو ممکن ہے کہ فرد بد اثرات کا شکار ہو ۔ لہذا اگر کسی بھائی یا بہن کی زندگی میں روکاوٹین آرہی ہیں اور یہ روکاوٹیں محنت اور کوشش کے باوجود دور نہ ہو تو اس پریشانی کا حل سورہ تغابن میں موجود ہے ۔ اگر سورہ تغابن کا ترجمعہ پڑھا جاے تو ہمیں معلوم ہوگا کہ سورہ تغابن میں رسالت پر ایمان ، توبہ اور توکل پر زور دیا گیا ہے ۔مطلب یہ کہ اگر کوئی فرد آپ نبی پاک پر درود نہیں پڑھتا اور نہ ہی اللہ سے اپنے گناہوں کی مغفرت مانگتا ہے تو اسکی وجہ سے دنیا میں پھیلے ہو شیطانی اثرات اس فرد کے وجود پر اثر انداز ہو جاتے ہیں ۔ جسکی وجہ سے وہ گناہ بھی کرتا ہے اور اس کی زندگی کی مشکلات ست نجات بھی نہیں ملتی ۔لہذا اگر توبہ کرلی جاے اور آپ نبی پاک پر کثرت سے درود بھی پڑھا جاے اور اس کے بعد اللہ پر توکل کرتے ہوے اپنی کوشش کو جاری رکھا جاے کچھ ہی دیر میں اللہ کی غیبی مدد آپ کو حاصل ہو جاے گی جسکی وجہ سے آپ کی زندگی اصلاح اور کامیابی کی طرف گامزن ہونے لگے گی اور یہی سورہ تغابن کا اصلی وظیفہ ہے